kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya

kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya
dubne wale ko tinke ka sahaara mil gaya

ho gaya shamil gharaz ka rang mauj-e-ishq mein
jhil ke nithre hue pani mein gara mil gaya

ghul gai betabi-e-dil waqt ke mahlul mein
zabt ke thahre hue pani mein para mil gaya

dil ke karobar mein hasil ki koi shart hai
mil gaya is rah mein jis ko khasara mil gaya

na-mukammal khwahishon ka dard kho dene ke baad
yun hua phir wo mujhe sare ka sara mil gaya

rakh chuka hai rehn wo pahle hi apni raushni
kis sitare se mere dil ka sitara mil gaya

khud luta kar chhod aae jis ki khatir karwan
rahzanon ke sath wo rahbar hamara mil gaya

kho gaya wo kis tarah jis ko kabhi paya nahin
jis ko paya hi nahin kaise dobara mil gaya

sabz parcham ko mili aazad mausam ki hawa
hum ko apni sar zamin ka chand tara mil gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close