kah de man ki baat to gori kahe ko sharmati hai sham dhale tujh ko kis apradhi ki yaad satati hai tujh ko mujh se prem hai tu bekal hai meri chahat mein teri payaliya ki jhan jhan sare bhed batati hai khol ke ghunghat ke pat pyar se karti hai parnam mujhe bhor bhae jab nir bharan ko wo panghat par aati hai bandh gai hai mujh se ai dil bandhan prit ki dori se ganw ki wo nar jo apne jauban par itraati hai kuchh to bata do kaun hai jo tere manwa ko lut gaya kis ki khatir to mabad mein dip jalane jati hai 'nasir' ruh mein ghul jati hai mast mahak madhuri ki jab sakhiyon ke sang wo nari nadiya bich nahati hai