kah rahi hai ye be-qarari aaj aur hai rang-e-dil-nigari aaj dil ki haalat bata rahi hai saf dil ne khaya hai zakhm-e-kari aaj allah allah ye dil-gudaz nigah ho chuki hum se parda-dari aaj na chhupi dil ki baat nazron se rah gai sab fareb-kari aaj shama to roz uthai jati hai ai sahar hai hamari bari aaj thi jo kal tak umid ai 'kaukab' wahi zalim hai sogwari aaj