kaha jab tum se chaara dard-e-dil ka ho nahin sakta to jhunjhla kar kaha tera kaleja ho nahin sakta wo apni zid ke pure hat ke pure aan ke pure faqat itni kami hai qaul pura ho nahin sakta kahan ki chaara-farmai ayaadat tak nahin karte masihai pe marte hain aur itna ho nahin sakta sar-e-tur un ke jalwe ne pukara khud-numa ho kar ki apne chahne wale se parda ho nahin sakta kaha jab un se meri zindagi tum ho kaha hans kar main samjha ab tumhein mera bharosa ho nahin sakta mera ghar ghair ka ghar to nahin kyun-kar wo khul khelen nigahen uth nahin saktin ishaara ho nahin sakta 'sharaf' aur 'rashk' ke kahne se kuchh tuk-bandiyan kar lin 'hasan' afkar mein hum se do-ghazla ho nahin sakta