kaha jo main ne ki yusuf ko ye hijab na tha to hans ke bole wo munh qabil-e-naqab na tha shab-e-visal bhi wo shokh be-hijab na tha naqab ulat ke bhi dekha to be-naqab na tha lipat ke chum liya munh mita diya un ka nahin ka un ke siwa is ke kuchh jawab na tha mere janaze pe ab aate sharm aati hai halal karne ko baithe the jab hijab na tha nasib jag uthe so gae jo panw mere tumhaare kuche se behtar maqam-e-khwab na tha ghazab kiya ki ise tu ne mohtasib toda are ye dil tha mera shisha-e-sharab na tha zamana wasl mein leta hai karwaten kya kya firaq-e-yar ke din ek inqalab na tha tumhin ne qatl kiya hai mujhe jo tante ho akele the malak-ul-maut ham-rikab na tha dua-e-tauba bhi hum ne padhi to mai pi kar maza hi hum ko kisi shai ka be-sharab na tha main ru-e-yar ka mushtaq ho ke aaya tha tere jamal ka shaida to ai naqab na tha bayan ki jo shab-e-gham ki bekasi to kaha jigar mein dard na tha dil mein iztirab na tha wo baithe baithe jo de baithe qatl-e-am ka hukm hansi thi un ki kisi par koi itab na tha jo lash bheji thi qasid ki bhejte khat bhi rasid wo to mere khat ki thi jawab na tha surur-e-qatl se thi hath panw ko jumbish wo mujh pe wajd ka aalam tha iztirab na tha sabaat bahr-e-jahan mein nahin kisi ko 'amir' idhar numud hua aur udhar hubab na tha