kaha kis ne ki gham-khwari karega wo banda bas adakari karega zamin-e-dil pe boya karb us ne main samjha tha ki dildari karega main us ke lab pe ghazlen kah raha hun use kahna sada-kari karega utarunga ye poshak-e-siyah kab ye dil kab tak aza-dari karega aman ho jaan ki zill-e-ilahi tujhe barbaad darbari karega jo sar mansub hoga dar se ab qabile ki wo sardari karega usi ke bachchon ko chhanw milegi yahan ab jo shajar-kari karega