kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin

kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin
ye aur baat hai haalat khush-gawar nahin

bisat hi to hai kya jaane kab ulat jae
yahan pyaada-o-farzin ka e'tibar nahin

jahan jahan nazar utthi wahan wahan tu tha
kahan kahan tere jalwon ka intishaar nahin

wo kya kisi ki nigahon pe e'tibar kare
jise khud apni nigahon pe e'tibar nahin

fusun-shanas hun main rang-o-bu samajhta hun
fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar nahin

nahin hai koi bhi shai qabza-e-tasarruf mein
kisi bhi chiz pe insan ko ikhtiyar nahin

dam-e-habab nawazish ki is qadar barish
gunahgar bhi jaise gunahgar nahin

nazar ka kya hai bahak bhi gai hai ye aksar
hamara daman-e-dil hai ki daghdar nahin

abhi to kashmakash-e-dar-o-gir baqi hai
abhi hayat ka mahaul sazgar nahin

meri rawish hai alag 'taj' mera zauq juda
adab ko bech ke jina mera shuur nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close