kahan duniya se laDna hai kahan KHud se baghawat hai

kahan duniya se ladna hai kahan khud se baghawat hai
use samjha raha hun jo mohabbat ki riwayat hai

hazaron dukh uthata hun hazaron zakhm khata hun
magar jati nahin ye muskurane ki jo aadat hai

jahan par jab bhi ji chahe zamin par baith jata hun
ki mere jism ki mitti ko mitti se mohabbat hai

main apne ganw ke sab khet-khaale yaad rakhta hun
na-jaane shahr mein rahte hue ye kaisi aadat hai

hamein kuchh is liye bhi umr bhar ab sath rahna hai
tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai

zamin par panw rakh kar koi chalta hi nahin 'nasir'
nahin malum is duniya mein kis ko kitni ujlat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close