kahan giraft mein ab mah-o-sal ke mausam bikharte jate hain tere visal ke mausam tere jawab ke waqfe tawil kitne hain guzarte jate hain mere sawal ke mausam har ek phul kali ko bula raha hai qarib chaman mein aae hain ab ke kamal ke mausam main dubti hun kinaron pe aur kahti hun kabhi na dekhe the aise zawal ke mausam tu apni aankh mein tab-e-bahaar la to sahi jahan bhar mein hain husn-o-jamal ke mausam ki jaise zehn mein ahd-e-khizan utar aaya bahut hi zard hue hain khayal ke mausam