kahan kahan liye phirti hai aarzu mujhko

kahan kahan liye phirti hai aarzu mujh ko
thakae dalti hai teri justuju mujh ko

hua jo chaak gareban to ho gae ruswa
isi mein aaj bhi bahla gaya rafu mujh ko

nigah-e-naz teri iltifat ke sadqe
na koi shisha na ab chahiye subu mujh ko

na baat phailti qatil bhi saf bach jata
wo kahiye rang gaya hai mera lahu mujh ko

gham-e-hayat ne sab dil ke raaz khole hain
badi aziz thi 'paikar' ye aabru mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close