kahan kho gae hain sae wo ghane chinar wale wo rawish rawish tarane hasin aabshaar wale shab-o-roz dhundhta hun wahi pur-bahaar wade wahi muztarib se lamhe tere intizar wale dhuli barf ki chattanen hasin dew-dar jhilen kahin bhul hi na jaen hamein kohsar wale hain udas udas patte wo nadi ke sabz sahil mere raaz ke nigahban mere e'tibar wale kahan chhup gaya hai 'kazim' tere karwan ka rahbar use yaad kar rahe hain abhi tak ghubar wale