kahan le aae mujh ko main kahan tha kisi muflis ka shayad aashiyan tha nahin pahchan paya ahl-e-dil ko mubassir ki nazar mein kuchh dhuan tha nishan ulfat ka wahid taj hi hai guzishta daur mein ek shah-jahan tha tera aashiq tera baalam tha ghayal teri aankhon mein hi tir-o-kaman tha sanam-khanon mein jalwe ishq ke the buton ko tere aane ka guman tha