kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona labon ka khushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona wo un ka chupke chupke muskurana khun rone par wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona qayamat tha sitam tha qahr tha khalwat mein o zalim wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai judai mein mera betab be-khud be-khabar hona