kahan sabaat ka us ko khayal hota hai zamana mazi hi hone ko haal hota hai farogh-e-badr na baqi raha na but ka shabab zawal hi ke liye har kamal hota hai main chahta hun ki bas ek hi khayal rahe magar khayal se paida khayal hota hai bahut pasand hai mujh ko khamoshi-o-‘uzlat dil apna hota hai apna khayal hota hai wo todte hain to kaliyan shagufta hoti hain wo raundte hain to sabza nihaal hota hai society se alag ho to zindagi dushwar agar milo to natija malal hota hai pasand-e-chashm ka hargiz kuchh e'tibar nahin bas ek karishma-e-wahm-o-khayal hota hai