kahan se manzar samet lae nazar kahan se udhaar mange riwayaton ko na maut aae to zindagi intishaar mange safar ki ye kaisi wusaten hain ki rasta hai na koi manzil thakan ka ehsas bhi na utre qadam qadam rahguzar mange talash ke bawajud sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya ki main ne khushiyan hazar dhundin ki dard main ne hazar mange agar wo dena hi chahta hai to manzilon ka suragh de de agar use mangna hi thahre to raston ka ghubar mange kabhi achanak hi gher lete hain rah mein na-guzir lamhe koi kahan tak panah dhunde koi kahan tak farar mange sazaen tajwiz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai ki koi 'balraj' apni marzi se jine ka ikhtiyar mange