kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya hamein to apne hi afkar ne halak kiya kisi ki maut ka bais thi khana-virani kisi ko raunaq-e-gulzar ne halak kiya kisi ke waste phulon ki sej mujib-e-marg kisi ko jada-e-pur-khar ne halak kiya kisi ko shoala-e-khurshid ne jila dala kisi ko saya-e-ashjar ne halak kiya sawad-e-sham kisi ke liye payam-e-ajal kisi ko subh ke aasar ne halak kiya kisi ki jaan gai dekh kar tera jalwa kisi ko hasrat-e-didar ne halak kiya koi shikar hua apni hichkichahat ka kisi ko jurat-e-izhaar ne halak kiya kisi ka takhta bichhaya nasib-e-khufta ne kisi ko tala-e-bedar ne halak kiya wahi halaku ki jis ne kiye hazaron halak use bhi waqt ki yalghaar ne halak kiya kisi ko mar gaya us ka kam-sukhan hona kisi ko kasrat-e-ashaar ne halak kiya wahi khasara hai sab ki tarah hamein darpesh hamein bhi garmi-e-bazar ne halak kiya kabhi tabah hue mashwara na milne se kabhi nawishta-e-diwar ne halak kiya mili thi jis ke labon se nai hayat hamein usi ki shokhi-e-guftar ne halak kiya khuda ka shukr ki pasti na hum ko khench saki hamein bulandi-e-mear ne halak kiya