kahan to pa-e-safar ko rah-e-hayat kam thi

kahin to pa-e-safar ko rah-e-hayat kam thi
qadam badhaya to sair ko kaenat kam thi

siwae mere kisi ko jalne ka hosh kab tha
charagh ki lau buland thi aur raat kam thi

khayal sahra-e-zat mein us maqam par tha
jahan ki gunjaish-e-farar-o-najat kam thi

wo fard-e-bakhshish ki jis ki takmil ki hai main ne
nigah dali to is mein apni hi zat kam thi

bahut hanse khub roe ji khol kar jiye hum
agarche miad-e-hasti-e-be-sabaat kam thi

tere karam se bada tha kuchh e'tiqad mera
isi liye mujh ko fikr-e-saum-o-salat kam thi

bahao pani ki bund par khun ka samundar
nahin to ek qatra-e-lahu se furaat kam thi

ghazal 'muzaffar' ki khub thi is mein shak nahin hai
magar taghazzul ke nam par ek baat kam thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close