kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki teri khwahish nahin dil mein zyaada der rahne ki bacha kar dil guzarta ja raha hun har talluq se kahan us aable ko tab hai ab chot sahne ki rag-o-pai mein na hangama kare to kya kare aakhir ijazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihat apni apni khwahish hai tujhe shohrat kamane ki mujhe ek sher kahne ki jahan ka hun wahin ki ras aaegi faza mujh ko ye duniya bhi bhala koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfan' par guzri suna kuchh us ke bare mein khabar tum ne suni tufan mein dariya ke bahne ki