kahi jo humne ghazal ek ghazal ke chehre par

kahi jo hum ne ghazal ek ghazal ke chehre par
chadhai tewri us ne machal ke chehre par

hamare shahar mein kuchh din guzar kar dekho
udasi raqs karegi uchhal ke chehre par

badhata jaunga har chand raunaq-e-maqtal
main chal pada hun lahu apna mal ke chehre par

talash karte hain wo aaj apne chehre ko
jo phirte rahte the chehre badal ke chehre par

khizan bahaar ki masnad pe aa gai hae
naqab kar liya us ne sanbhal ke chehre par

faza-e-makr ne sahra ko kar diya dariya
sarab sajne lage hain ramal ke chehre par

idhar marunga udhar mar ke ji uthunga 'shajar'
hayat main ne padhi hai ajal ke chehre par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close