kahin bahaar kahin Khaar-zar ki surat

kahin bahaar kahin khar-zar ki surat
jidhar bhi dekho wahi intizar ki surat

jise bhi dekho masail ki bhid mein gum hai
har ek jabin hai kisi ishtihaar ki surat

hatheliyon pe numayan hai jabr ki tahrir
isi ko kahte hain kya ikhtiyar ki surat

abhi to sham-o-sahar dil ke dagh jalte hain
qaba-e-jaan hai abhi tar tar ki surat

fareb-o-makr ke jalte sulagte jangal mein
jhulas ke maskh hui e'tibar ki surat

hujum-e-gham mein kisi gham-gusar ki yaaden
banen hamari nigahban hisar ki surat

mera wajud hi jab qaid se ibarat hai
nahin hai maut se pahle farar ki surat

badal ke dekhen to 'sima' nizam hasti ka
kisi tarah se to nikle qarar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close