kahin bahaar kahin par khizan ka mausam hai tamam shahr mein sud-o-ziyan ka mausam hai na ras aaegi hum ko abhi ye aab-o-hawa jahan ke hum hain nazar mein wahan ka mausam hai hawa ki zid bhi wahi hai diye ki zid bhi wahi ajab hikayat-e-shab-zad-gan ka mausam hai kadakti bijliyan abr-e-siyah barish-e-sang zamin se kah do abhi aasman ka mausam hai faza mein itr si khushbu ghulegi aur abhi abhi fasana-e-dil-dad-gan ka mausam hai chhalak rahe hain sabhi dard mehrban ho kar uthao hath ki aazar-e-jaan ka mausam hai ab is ke baad zamin rafta rafta hogi siyah abhi hai surkh ki ye kushtagan ka mausam hai yaqin hai ki nae barg-o-bar aaenge yaqin ke shahr mein ab ke guman ka mausam hai nigah-e-shab mein shab-e-raftagan guzar aae nigah-e-subh mein aaindagan ka mausam hai