kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain hamare sare hawale hamare ghar hi ke hain hamari sans talak hi hamara wirsa hai hamare khwab bhi aankhon mein raat bhar hi ke hain main in se tut ke karta hun pyar kyun na karun ye sare phul ye patte mere shajar hi ke hain wo jis ko chahe bana de kalam-e-fan ki misal tamam moajize us dast-e-kuza-gar hi ke hain teri nazar se tere dil tak aane jaane mein jo fasle hain wo lagta hai umr bhar hi ke hain karun to kaise karun main teri gali mein qayam mere to jo bhi sitare hain wo safar hi ke hain