kahin chandan mahakta hai kahin kesar mahakta hai ye khushbu hai buzurgon ki jo mera ghar mahakta hai wo apni jhurriyon wali hatheli mein dua bhar kar jo chhu dete hain mera sar to mera sar mahakta hai agarbatti ke jaisa ho gaya hai dil hamara ab wo apne dewta ke samne jal kar mahakta hai tumhaare shahr mein ab to bahaaren bhi hui basi hamare ganw aa jao yahan patjhad mahakta hai mere is jism ki apni koi khushbu nahin lekin mahakta hun main is karan mera dilbar mahakta hai sadak par thokaren duniya ki wo khata raha barson use mandir mein jab rakkha wahi patthar mahakta hai tera bhiga badan ek din nazar se chhu liya main ne usi din se meri aankhon ka har manzar mahakta hai