kahin charagh jala raushni kahin pahunchi khuli thi aankh kahin zindagi kahin pahunchi jo ru-ba-ru hai usi ki talash jari hai nazar uthi kahin bad-qismati kahin pahunchi hazar fasle tai kar ke bhi wahin hum hain kahin se ho ke tumhaari gali kahin pahunchi lahu uchhaal ke banjar zamin ko sincha tha ghazab to ye hai ki sari nami kahin pahunchi khushi ka kya hai bharosa mile mile na mile wo mere ghar ka pata dhundhti kahin pahunchi wo muztarib hai ki farzangi ko kuchh na mila main mutmain hun ki diwangi kahin pahunchi udan meri par-o-baal se bhi aage thi uda ke mujh ko meri shairi kahin pahunchi