kahin jangal ugate hain kahin aahu banate hain

kahin jangal ugate hain kahin aahu banate hain
musawwir hain tere pahlu ko sad pahlu banate hain

bhala kya qatl par apne raqibon se gila ki wo
mera nafa juda kar ke teri khushbu banate hain

tahammul sikh hum se guftugu kar narm lahje mein
ki sab tere rawayye hi ko apni khu banate hain

kahin koi sitara chhodte hain be-karani mein
kabhi andher nagri mein koi jugnu banate hain

adu kaise sitamgar hain mujhe taskhir karne ko
teri taswir ke upar mere bazu banate hain

hamein to khwab mein bhi zulf suljhane ki aadat hai
magar wo log jo uljhe hue gesu banate hain

tere kabe se kuchh iman walon ko gharaz hogi
ki hum kafir to but-khana bhi qibla-ru banate hain

hum aise kushtagan-e-khak hi 'akash' sahra mein
saba ko apne dil ki dhonkni se lau banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close