kahin jata nahin ye dard-e-dil thahra bhi rahta hai purane zakhm se rishta mera gahra bhi rahta hai wo sab kuchh jaan leta hai mera chehra hi padh padh kar bana rahne do pahra koi gar pahra bhi rahta hai bahut sari tsunami hain mere dil ki tarah us mein mahaz dikhta hai pani jhil ka thahra bhi rahta hai taraazu se na tolo tum hamari pyas ka matlab kabhi dariya bhi rahta hai kabhi sahra bhi rahta hai hai kuchh jadu-bhari kursi siyasat ki ki jo baitha kabhi andha bhi rahta hai kabhi bahra bhi rahta hai