kahin khulus ki khushbu mile to ruk jaun mere liye koi aansu khile to ruk jaun main us ke sae mein yun to thahar nahin sakta udas ped ka patta hile to ruk jaun kabhi palak pe sitare kabhi labon pe gulab agar na khatm hon ye silsile to ruk jaun wo ek rabt jo itna badha ki tut gaya simat ke jod de ye fasle to ruk jaun bahut tawil andheron ka hai safar 'tahir' kahin jo dhup ka saya mile to ruk jaun