kahin olon ki barsaten kahin moti ki saughaten nihayat maslahat andesh hain ab badliyan us ki bila-shuba wahi qatil hai apne ahd ka lekin shahadat kaun de ki samne hai wardiyan us ki shahidan-e-wafa boe gae hain ab ke mausam mein ki lala-zar ho jaen lahu se khetiyan us ki lahu aasham dariya is tarah hum sur-kharru utre ki ab tak hichkiyan leti rahi hain naddiyan us ki damakte chand tare shabnam-o-gul subh ka manzar abhi bikhri padi hain har taraf angdaiyan us ki na phir kyun dard ki lazzat masham-e-jaan mein lahrae 'qamar' jab gudgudaen khud-bakhud purwaiyan us ki