kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai kahin par aadamiyat zinda rahne ko tarasti hai jahan-e-zindagi ki qudrati taswir hain donon kahin sukha pada hai aur kahin barish barasti hai teri daulat tujhe kya faiz pahunchaegi tere baad mayassar zindagi jitni bhi qimat par ho sasti hai kisi qabil mein hota to kabhi ka qatl ho jata ki har ahl-e-salahiyyat ki dushman meri basti hai mohabbat hi kiya karti hai aamada baghawat par mohabbat hi wafadari ki zanjiron mein kasti hai kama lena magar hargiz na karna pyar daulat se ye nagin apne shaida ko nihattha kar ke dasti hai kabhi 'talib' yahan insaniyat ki qadr hoti thi magar ab jis taraf bhi dekhta hun zar-parasti hai