kahin zamin ke par aur aasman ke par parinde dhund rahe hain ghar is jahan ke par main thak chuka hun tera intizar karte hue magar pukar raha hai koi thakan ke par bichhad ke ro raha hai is qadar kahani se pahunch gaya tha wo kirdar dastan ke par main tere wasl ki shiddat se khub waqif hun mujhe milo to milo jism ke makan ke par tumhaare zikr ka mear khub gahra hai khamoshiyon se kahin aage is zaban ke par yaqin ka hath pakad lo ye mashwara hai mera bas ek ujda hua dasht hai guman ke par