kahne bhi kuchh na pae the aah-e-rasa se hum sunna pada ki aaj ladenge hawa se hum zid aap ko asar se asar ko dua se lag farmaiye to hath utha len dua se hum pisen kise ye kahte hain fitne dam-e-khiram itni bade huzur qayamat zara se hum mahshar mein pai jam-ba-kaf-hur zahido achchhe rahe yahan bhi tumhaari dua se hum sote mein kaam aai na kuchh chashm-e-nim-baz khul khele aaj yar ke band-e-qaba se hum hum jaante hain khub adaon ki shokhiyan hum hain ada-shanas daren kya qaza se hum uth jae bar-e-sharm to sau fitne hum uthaen kahti hai wo nigah dabe hain haya se hum huron ke badle hon but-e-kafir hamein nasib tum ko agar sataen to paen khuda se hum karte na hum wafa to na badhte jafa-o-jaur sharminda wo jafa se to apni dua se hum mumkin hai ja ke arsa-e-mahshar mein sar uthaen teri gali mein dab ke rahe naqsh-e-pa se hum un ke liye maze ki saza hai yahi 'riyaz' mahshar mein mang lenge buton ko khuda se hum