kahne laga khulte hue darwaza hawa se

kahne laga khulte hue darwaza hawa se
ye pahla taaruf hai mera taza hawa se

phir chum gain phul ke rukhsar hawaen
phir phul ke chehre pe laga ghaza hawa se

khushbu ka sarapa hai ki phulon ki hai tarkib
wo aae to ho jata hai andaza hawa se

rakhte hain munderon pe diye apne jala kar
hum ne kabhi puchha nahin khamyaza hawa se

kal raat darichon mein koi aur nahin tha
bikhra tha khayalat ka shiraaza hawa se

kahna hai use jo bhi 'hasan' phone pe kah do
ab tez hai raftar mein aawaza hawa se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close