kahne se ghair ke na karen imtihan aap

kahne se ghair ke na karen imtihan aap
pachhtaenge wagarna bahut meri jaan aap

be-jurm hum se ho ke khafa mehrban aap
chhudwate hain khuda ki qasam apna dhyan aap

main aur shikwa aap ka ghairon ke samne
ye wahm ye khyal-e-bad aur ye guman aap

ai ishq tab-e-sadma-e-gham mujh mein ab nahin
bezar zindagi se hun main na-tawan aap

mar-mar ke hum ne rashk-e-masiha kiya tumhein
hum se rakhen dimagh sar-e-asman aap

shayad sitam se hath uthaya raqib ne
rahte hain mere haal pe jo mehrban aap

hum kyon ilaj sina-e-majruh ka karen
jate rahenge zakhm-e-jigar ke nishan aap

dam-e-bala-e-zulf mein dil ko phansaun kyon
dalun main is azab mein kyon apni jaan aap

manzur hai tumhin ko jalana mera jo roz
karte hain ishq-e-ghair ka aakar bayan aap

wo shokh pur-jafa-o-sitam aur khuda ka dar
rakhte hain apne dil mein 'haya' kya guman aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close