kahta hai phir qalam ki koi waqia likhun

kahta hai phir qalam ki koi waqia likhun
har bar sochta hun main ab kuchh naya likhun

haiwaniyat ki phir se chalo intiha likhun
sach ko agar main sach na likhun aur kya likhun

zinda hun zindagi se magar khauf hai mujhe
dam ghut raha ho jis mein use kyon hawa likhun

wahshat ki aag mein hain jhulasti jo aabru
un par hue har ek sitam ki sada likhun

wo chand pe chale hain banane ko aashiyan
main aaj bhi zamin ki kahi iltija likhun

murda hain jism ruh ki koi khabar nahin
mamul-e-roz-o-shab main yahi hadisa likhun

soe hain jo zamir jagaun unhen yun phir
is haal ka main baith ke ek tabsira likhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close