kahta nahin hun logo main kar ke dikhaunga phir se junun charagh hawaen jalaunga aankhon ne nind-rukh na kiya jaanta tha main tujh khwab tak rasai kabhi main na paunga suraj sitam-nishana bana hun isi liye chaha tha dhup qahr se tujh ko bachaunga tanha safar pe mujh ko rawana to kar diya socha nahin ki tujh ko bahut yaad aaunga sach sun nahin sakega koi warna ji mein tha duniya ko jaisa dekha hai sab ko bataunga bite dinon ke nanhe parindon ke sae mein jine ka lutf aur bhi kuchh din uthaunga