kahte hain nala-e-hazin sun ke sau dil-gudaz hain dhun ke sar agar katna hai chun chun ke aastin chadhao chun chun ke sham-o-parwana shab ko the dil-soz rah gae subh tak wo jal-bhun ke ghun laga maut ka jo aaza mein ustukhwan khak ho gae ghun ke main wo nalan hun jis ke ham-saya koste hain fughan meri sun ke kat saka koh-e-gham na aakhir-kar kohkan sar ko rah gaya dhun ke nam-awar jo 'mir' the ai 'shad' ab hamin ek nishan hain un ke