kahte hain yan ki mujh sa koi mah-jabin nahin pyare jo hum se puchho to yan kya kahin nahin tujh sa to koi husn mein yan naznin nahin yun naznin bahut hain ye naz-afrin nahin saqi ko jam dene mein us khush-nigah ko aah har dam ishaaraten hain ki us ke tain nahin jab us nahin ke kahne se mane hai wo bura aaphi phir us ko kahta hun hans kar nahin nahin itna to chhedta hun ki kahta hai jab wo shokh banda tu mera mol kharida nahin nahin saqi tujhe qasam hai diye ja mujhe tu jam yan dam mein dam hai hoti nahin jab nahin nahin puchhe hai us se jab koi qatl-e-'nazir' ko kahta hai hum ne mara hai han han nahin nahin