kahun bhi to kahun is ke siwa kya ki main kya aur mera muddaa kya teri mahfil se ai rashk-e-masiha gham-e-dil ke siwa dil ko mila kya tere daman mein daulat do-jahan ki mere daman mein daman ke siwa kya gulistan hajla-e-gham ban gaya hai urus-e-lala-o-gul ka pata kya sar-e-sahil charaghan ho raha hai safina phir bhanwar mein aa gaya kya tumhaari shan-e-istighna salamat mere haal-e-zabun ka puchhna kya khumar-agin nazar maghmum chehra kahin jam-e-mohabbat pi liya kya tamannaon ka meri khun kar ke tumhein jaan-e-tamanna mil gaya kya