kai chand rahe barson mujh mein meri lau maddham karne ke liye kai suraj mujh mein dub gae mera saya kam karne ke liye ek bahut purana sadhu tha ek dukh ko wo nahin sadh saka wo tab se fine art mein hai is dukh ko kam karne ke liye kuchh ped mere bhi dushman hain jo hawaen bunte rahte hain phir unhen chalate rahte hain meri nak mein dam karne ke liye hum ne sab khoj nikala tha dukh kya tha ek niwala tha ab usi ko khate rahte hain sab kuchh mubham karne ke liye