kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath

kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath
lagti hai dil pe chot magar bankpan ke sath

khunki hai chandni mein tamazat hai dhup mein
tashbih kis ko den tere nur-e-badan ke sath

sar de ke surkh-ru the kabhi bandagan-e-ishq
rasm-e-kohan thi khatm hui kohkan ke sath

ek maslahat ki mohr hai lab par lagi hui
warna hazar shikwe hain ahl-e-watan ke sath

wo sher-e-naghz kyun na ho juzw-e-rag-e-hayat
kuchh fikr ka rachaw bhi jis mein ho fan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close