kaisa khazana ye to zad-e-safar nahin rakhti khana-ba-dosh mohabbat koi ghar nahin rakhti yaadon ke bistar par teri khushbu kadhun is ke sawa to aur main koi hunar nahin rakhti koi bhi aawaz us ki aahat nahin hoti koi bhi khushbu us ka paikar nahin rakhti main jangal hun aur apni tanhai par khush meri jaden zamin mein hain koi dar nahin rakhti wo jo laut bhi aaya to kya dan karungi main to us ke nam ka ek zewar nahin rakhti 'mira' man meri aag ko koi gun nahin aaya us murat ko ram karun ye hunar nahin rakhti