kaisa manzar guzarne wala tha aankh se dar guzarne wala tha wo ajab rahguzar thi jis ka mustahiq har guzarne wala tha waqt se main guzar raha tha magar waqt mujh par guzarne wala tha ek hi dil mila tha aur dil bhi kuchh na kuchh kar guzarne wala tha us ne bheje the ashk manzar mein khushk se tar guzarne wala tha mere raste ko kar diya hamwar mujh se behtar guzarne wala tha jaan hatheli pe rakh ke maqtal se ek khud-sar guzarne wala tha main ne zanjir rail mein khinchi jab mera ghar guzarne wala tha shukr hai kaam aa gai hikmat khair se shar guzarne wala tha main wahi kar nahin saka sad-haif kaam jo kar guzarne wala tha mere dil ki hawa se 'zeb' us din mor ka par guzarne wala tha