kaise dukh kitni chah se dekha

kaise dukh kitni chah se dekha
tujhe kis kis nigah se dekha

shiddat-e-la-zawal se chaha
hasrat-e-be-panah se dekha

itna socha tujhe ki duniya ko
hum ne teri nigah se dekha

shauq kya ghair-mo'tabar thahra
tu ne jab ishtibah se dekha

apni tarik zindagi mein tujhe
khub-tar mahr o mah se dekha

ahl-e-dil par teri kashish ka asar
apne haal-e-tabah se dekha

dushmanon se jo gham na dekha tha
koshish-e-khair-khwah se dekha

gham giran-tar hai koh se jaana
hum subuk-tar hain kah se dekha

daimi duriyon ka sadma 'ziya'
sarsari rasm-o-rah se dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close