kaise kahen ki kaise guzari hai zindagi

kaise kahen ki kaise guzari hai zindagi
kya bojh thi ki sar se utari hai zindagi

maqtal the gam gam ye rasta tawil tha
apne lahu se hum ne sanwari hai zindagi

karti hai khud talash ye kanton ka rasta
is waste sukun se aari hai zindagi

qaem hai ek fasla donon ke darmiyan
shak aur yaqin ke sath ab jari hai zindagi

main jaanti hun zindagi hai karb-o-iztirab
sanson ke bojh se badi bhaari hai zindagi

'shahin' apni haar par hai mutmain ki bas
ek jit ke liye hi to haari hai zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close