kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut

kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut
raat bhi apne sath sath aansu baha chuki bahut

chand bhi hai thaka thaka tare bhi hain bujhe bujhe
tere milan ki aas phir dip jala chuki bahut

aane lagi hai ye sada dur nahin hai shahr-e-gul
duniya hamari rah mein kante bichha chuki bahut

khulne ko hai qafas ka dar pane ko hai sukun nazar
ai dil-e-zar sham-e-gham hum ko rula chuki bahut

apni qiyaadaton mein ab dhundenge log manzilen
rahzanon ki rahbari rah dikha chuki bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close