kaise sach se rahe be-khabar aaina aaj khush hai bahut tut kar aaina har taraf be-zamiri nazar aaegi ho gaya gar ye pura nagar aaina aaina log ghar mein sajate hain par main ne kar dala pura hi ghar aaina jhuthe chehron ko sachcha batata sada rakhta insan si fitrat agar aaina aaine ki hai ek aur khubi suno sab ko aata nahin hai nazar aaina lag na jae koi dagh kirdar par zinda rakhta hai dil mein ye dar aaina sirf surat nahin jis mein sirat dikhe aisa ban kar chale ham-safar aaina wo badalte hain kirdar din mein kai dekhte hain jo sham-o-sahar aaina mujh ko dete hain ab wo nasihat 'sachin' dekh pae na jo umr-bhar aaina