kaise samjhega sadaf ka wo guhar se rishta

kaise samjhega sadaf ka wo guhar se rishta
jo samajh pae na aankhon ka nazar se rishta

mo'atabar sar hi bana lo to bahut achchha hai
kam hi rah pata hai dastar ka sar se rishta

hai gharibon ka amiron se talluq itna
jitna hota hai charaghon ka sahar se rishta

be-asar jab hain zabanen to kiya kya jae
warna rakhti hain duaen bhi asar se rishta

hum ne ruswai ki us waqt se chadar odhi
jis ghadi tod diya tha tere dar se rishta

dil ka rishta bhi agar socho to kya rishta hai
nibh raha hai isi rishte ke asar se rishta

justuju us ki khuda jaane hai kis manzil tak
khatm hota nahin 'akhtar' ka safar se rishta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close