kaisi ye raushni hai bikharti nahin kabhi

kaisi ye raushni hai bikharti nahin kabhi
tarik raston pe to padti nahin kabhi

kaisa ye chha gaya hai meri zindagi pe zang
koshish hazar pe bhi utarti nahin kabhi

yaksaniyat ka ho gai unwan zindagi
bigdi hai aisi baat sanwarti nahin kabhi

rahta hai zindagi ko bahaaron ka intizar
harkat-e-kaj-rawan se to darti nahin kabhi

hai azm bhi buland masaib ke sath sath
chahat meri maqam se girti nahin kabhi

hairan is hausle pe bhi dil ke hun main khalish
khwahish bhi un ke pane ki marti nahin kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close