kal aalam-e-khayal mein dekha hawa ka raqs barg-e-chaman ke saz pe baad-e-saba ka raqs har samt bazgasht meri gunjti rahi kohsar dekhte rahe meri sada ka raqs sun dhadkanon ki tal pe hota hai kis tarah ehsas ke qafas mein dil-e-be-nawa ka raqs qarnon pe hai muhit gham-e-zat-o-kaenat sadiyon se ho raha hai ye harf-e-wafa ka raqs dil mein dhamal dalti hain aise khwahishen jaise dahakti aag mein mauj-e-hawa ka raqs shayad kabhi khuda ko pasand aa nahin saka teri dua ka raqs na meri dua ka raqs