kal ke liye kar aaj na khissat sharab mein ye su-e-zan hai saqi-e-kausar ke bab mein hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand gustakhi-e-farishta hamari janab mein jaan kyun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama gar wo sada samai hai chang o rabab mein rau mein hai rakhsh-e-umr kahan dekhiye thame ne hath bag par hai na pa hai rikab mein utna hi mujh ko apni haqiqat se bod hai jitna ki wahm-e-ghair se hun pech-o-tab mein asl-e-shuhud-o-shahid-o-mashhud ek hai hairan hun phir mushahida hai kis hisab mein hai mushtamil numud-e-suwar par wajud-e-bahar yan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab mein sharm ek ada-e-naz hai apne hi se sahi hain kitne be-hijab ki hain yun hijab mein aaraish-e-jamal se farigh nahin hunuz pesh-e-nazar hai aaina daim naqab mein hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain hum shuhud hain khwab mein hunuz jo jage hain khwab mein 'ghaalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost mashghul-e-haq hun bandagi-e-bu-turab mein